Thursday, June 28, 2007

THE Reminder...

maut ne zamaane ko yeh sama dikha dala
kaise kaise rustam ko khaak mein mila dala

yaad rakh uss sikandar ke hosley to aali they
jab gaya tha duniya se dono haat khaali they

ab na woh sikandar hai aur na uske saathi hai
jang-aju na poras hai aur na uske haati hai

kal jo tann-ke chalte they apni shaan-o-shaukat par
shamma tak nahi jalti aaj unki turbat par

adnaa ho ya aala ho sabko laut jaana hai
muflis-o-tavangar ka kabr hi thikaana hai

(extracted from "Chadtha Sooraj Dheere dheere"- Aziz Nazan)

No comments:

Post a Comment